Search This Blog

Tuesday, April 4, 2023

Khush hoon me zindagi ki apni is kitaab me.

Khush hoon me zindagi ki apni is kitaab me. 

Tatolti hoon un panno ko jo shayad adhure se reh gaye kuch un-kahe sawal-jawabo me.

kabhi-kabhi sochti hoon ki ye aas-paas ki kamoshi kitni zaroori hai zindagi ki shyaahi k liye

aur kabhi, kuch panno pe ye hi shyaahi shor ke dhabbe chor jaati hai


kuch shor ko shabdo ka sahara miljata hai aur vo tham se jaate hain

to kuch be-parwah goonjte rehate hai...ki shayad kabhi unka bhi kahin kuch arth hoga....


Samay ke saath hum ek adhyay se doosare ki taraf badhte chale jaa rahe hain

aur kabhi पृष्ठ स्मृतिyo (bookmarks) ki madad se thoda ruk kar,  kahani ko ehsaas me laa rahe hain.

ye sil-sila ruk ke chalne ka aur chalkar rukne ka jaari hai.

aur vahi silsila ek ajeeb sa jaadoo bikher deta hai  

to kabhi yaad dilati hai -  jab hum akhri shabd piro rahe honge....shayad ye kitaab Padhenge sab us din.

No comments: